tilism hai ki tamasha hai kaenat us ki charagh-e-hijr se raushan rahegi raat us ki zamin ho ki zaman sab usi ke mohre hain bichhi hui hai bahut dur tak bisat us ki hamare sath bhi hote hain tajrabe us ke hamare haal mein shamil hai wardat us ki shikast o fath mein kya farq hai nahin malum ye kya ki jit hamari hai aur mat us ki use khamosh bhi rahna tha ek pal ke liye samajh saka na koi anjuman mein baat us ki idhar ye nind udhar jagte hue sae ajib silsila-e-khwab hai hayat us ki