tilism-khana-e-asbab mere samne tha mera hi dekha hua khwab mere samne tha wahi nahin tha jise dil talak rasai thi ki yun to majma-e-ahbab mere samne tha tamam umr sitare talash karta phira palat ke dekha to mahtab mere samne tha main ek sada ke tahayyur mein ghir gaya warna kinara samne girdab mere samne tha kitab-e-ishq khuli thi suna raha tha koi main padh raha tha naya bab mere samne tha main dhundta raha mazi ke gum-shuda auraq nisab-e-mimbar-o-mehrab mere samne tha rida-e-faqr bacha le gai mujhe warna fareb-e-atlas-o-kam-khwab mere samne tha