phir dil se aa rahi hai sada us gali mein chal shayad mile ghazal ka pata us gali mein chal kab se nahin hua hai koi sher kaam ka ye sher ki nahin hai faza us gali mein chal wo baam o dar wo log wo ruswaiyon ke zakhm hain sab ke sab aziz juda us gali mein chal us phul ke baghair bahut ji udas hai mujh ko bhi sath le ke saba us gali mein chal duniya to chahti hai yunhi fasle rahen duniya ke mashwaron pe na ja us gali mein chal be-nur o be-asar hai yahan ki sada-e-saz tha us sukut mein bhi maza us gali mein chal 'jalib' pukarti hain wo shola-nawaiyan ye sard rut ye sard hawa us gali mein chal