tilism khatm chalo aah-e-be-asar ka hua wo dekho jism barhana har ek shajar ka hua sunaun kaise ki suraj ki zad mein hain sab log jo haal raat ko parchhaiyon ke ghar ka hua sada ke sae mein sannaton ko panah mili ajab ki shahr mein charcha na is khabar ka hua khala ki dhund hi aankhon pe mehrban rahi harif koi ufuq kab meri nazar ka hua main sochta hun magar yaad kuchh nahin aata ki ikhtitam kahan khwab ke safar ka hua