tinka tinka kante tode sari raat katai ki kyun itni lambi hoti hai chandni raat judai ki nind mein koi apne-ap se baaten karta rahta hai kal-kunen mein gunjti hai aawaz kisi saudai ki sine mein dil ki aahat jaise koi jasus chale har sae ka pichha karna aadat hai harjai ki aankhon aur kanon mein kuchh sannate se bhar jate hain kya tum ne udti dekhi hai ret kabhi tanhai ki taron ki raushan faslen aur chand ki ek daranti thi sahu ne girwi rakh li thi meri raat katai ki