raat lambi thi sitara mera tajil mein tha jis ko jalna nahin aaya wahi qindil mein tha ek jahan aur pas-e-kar-e-jahan tha baqi ek badan aur mere ishq ki takmil mein tha phir siyahi ne sameta mera saman aa kar kul asasa mera ek sham ki zambil mein tha ek larza tha sitaron ke badan par tari main to duba hua ek husn ki tafsil mein tha ab to har chehra use zard dikhai dega der tak aaina bimar ki tahwil mein tha jo mila wo badi ujlat mein mila tha mujh se aur main goya hamesha se hi tatil mein tha