tinke ka hath aaya sahaara ghalat ghalat mauj-e-talab ne paya kinara ghalat ghalat sail-e-bala mein dub raha tha main jis ghadi duniya ke sath us ne pukara ghalat ghalat hum log ji rahe hain tere shahr mein abhi kije na indiraj hamara ghalat ghalat chalta hai dushmanon ki tarah mere sath jo us ne kiya hai mujh ko gawara ghalat ghalat koi bhi chiz rahni nahin ta-abad yahan naqsha hai is jahan ka sara ghalat ghalat shakh-e-talab ko pani diya hai lahu nahin hum ne har ek gul ko nikhaara ghalat ghalat raaton ka iztirab nahin yun bhi ja saka ubhra hai zulmaton mein sitara ghalat ghalat ek ek waraq mein khauf ka mazmun hai miyan hai zist ka har ek shumara ghalat ghalat dhoka diya hai aaine ko us ne is tarah zulfon ko us ne rukh pe sanwara ghalat ghalat ilzam de ke dana-e-gandum ka ai 'nabil' us ne mujhe zamin pe utara ghalat ghalat