gar na andoh-e-shab-e-furqat bayan ho jaega be-takalluf dagh-e-mah mohr-e-dahan ho jaega zohra gar aisa hi sham-e-hijr mein hota hai aab partaw-e-mahtab sail-e-khanuman ho jaega le to lun sote mein us ke panw ka bosa magar aisi baaton se wo kafir bad-guman ho jaega dil ko hum sarf-e-wafa samjhe the kya malum tha yani ye pahle hi nazr-e-imtihan ho jaega sab ke dil mein hai jagah teri jo tu raazi hua mujh pe goya ek zamana mehrban ho jaega gar nigah-e-garm farmati rahi talim-e-zabt shoala khas mein jaise khun rag mein nihan ho jaega bagh mein mujh ko na le ja warna mere haal par har gul-e-tar ek chashm-e-khun-fishan ho jaega wae! gar mera tera insaf mahshar mein na ho ab talak to ye tawaqqoa hai ki wan ho jaega faeda kya soch aakhir tu bhi dana hai 'asad' dosti nadan ki hai ji ka ziyan ho jaega