tir-andazon ko andaza nahin zad mein aana tha jise aaya nahin kuchh tasawwur kuchh tawaqqo kuchh guman ye bhi kya khwabon ka khamyaza nahin sari basti mein faqat ek teri zat qibla-o-kaba sahi kaba nahin jis hawa mein tu hai aaqa-e-chaman koi bhi jhonka wahan taza nahin dhul ki aaankhon mein ja hoti nahin panw mein lagta kabhi surma nahin hai khada sahil pe lahron se pare par jaane par wo aamada nahin chahta hai tu jo tazin-e-wafa phul la kanton ka gul-dasta nahin apne dil mein aap hi rahta hai wo dusra kya us mein rah sakta nahin aasman khamosh ho aur log chup der tak ye silsila chalta nahin