aankh ka ishaara hai hum pe aashkara hai tir-e-nim-kash hai kab ye nazar to aara hai hai jo ishq ka chakkar sar-ba-sar khasara hai dard ki hukumat hai aur dukh sahaara hai ai meri mata-e-jaan hum mein kya hamara hai dil ko gham hain duniya ke aur dil tumhaara hai hijr do ghadi ka hi aag hai sharara hai mujh mein ek dariya hai aur ek kinara hai