tir barse kabhi khanjar aae ye maqamat bhi akasr aae shahr mein aag lagi hai apne jo bhi aae wo sambhal kar aae phir tabahi ki taraf hai duniya phir zarurat hai payambar aae wo to rahzan ke bhi rahzan nikle hum to samjhe the ki rahbar aae shahr mein jab koi hangama hua log kuchh bhes badal kar aae aap chup rahe ke bhale ban baithe sare ilzam hamin par aae