wo ruthta hai kabhi dil dukha bhi deta hai main gir padun to mujhe hausla bhi deta hai wo meri rah mein patthar ki tarah rahta hai wo meri rah se patthar hata bhi deta hai bahut khulus jhalakta hai tanz mein us ke wo mujh pe tanz ke nashtar chala bhi deta hai main khud ko bhul na jaun bhatak na jaun kahin wo mujh ko aaina la kar dikha bhi deta hai use aziz hain ghazlen meri mere ashaar wo mere sher mujhi ko suna bhi deta hai