tir-e-nazar ne aap ki ghael kiya mujhe phir shauq-e-intizar ne pagal kiya mujhe aisi chali hawa-e-gulistan meri taraf chhu kar bu-e-gulab ne sandal kiya mujhe beton ne mere nam ki dastar pahan li aur betiyon ne surat-e-anchal kiya mujhe badhne lagi hai dil ki tamanna-e-ashiqi yun aa ke teri yaad ne bekal kiya mujhe hosh-o-hawas khone laga hun firaq mein tanhaiyon ne aisa muqaffal kiya mujhe pahle to aazmaya ata-e-bahisht se phir bhej kar jahan mein afzal kiya mujhe har shakhs mo'tarif ki muhibb-e-watan hun main phir adliya ne kyun sar-e-maqtal kiya mujhe ibn-e-chaman hai teri wafaon pe jaan-nisar apna bana ke tu ne mukammal kiya mujhe