tir-e-nazar ne zulm ko ehsan bana diya

tir-e-nazar ne zulm ko ehsan bana diya
tarkib-e-dil ne dard ko darman bana diya

sad shukr aaj ho gai takmil ishq ki
apne ko khak-e-kucha-e-jaanan bana diya

kotahi koi dast-e-junun se nahin hui
daman ko ham-kanar-e-gireban bana diya

chhodi hai jab se main ne salamat-rawi ki chaal
dushwariyon ko rah ki aasan bana diya

ai mishal-e-ummid ye ehsan kam nahin
tarik shab ko tu ne darakhshan bana diya

husn-afrin hua hai tasawwur jamal ka
dil ko hawa-e-gul ne gulistan bana diya

zohd aur ittiqa pe mujhe apne naz tha
khud main ne tujh ko dushman-e-iman bana diya

aaina-e-jamal ko dekhunga kis tarah
us ne to pahle hi mujhe hairan bana diya

wo imtiyaz-e-husn hai mani o lafz ka
'wahshat' ko jis ne 'ghaalib'-e-dauran bana diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close