tere aashufta se kya haal-e-betabi bayan hoga jabin-e-shauq hogi aur tera aastan hoga zaban-e-sham-e-mahfil se suna hai ahl-e-mahfil ne tera anjam kya parwana-e-atish-ba-jaan hoga talatum hai umidon ka tasadum aarzuon ka dil-e-hangama-parwar kaun tera raazdan hoga rahen yunhi agar ranginiyan tarz-e-tabassum ki mere zakhm-e-jigar par khanda-e-gul ka guman hoga tajammul se guzar hoga tere kuche mein aashiq ka tamannaon ka lashkar karwan-dar-karwan hoga kabhi taufiq tark-e-ma-siwa ki ho hi jaegi dil-e-azad hoga aur aish-e-jawedan hoga surur-afza-o-masti-khez-o-shorish-afrin hogi wo bazm-e-sher jis mein 'wahshat'-e-shewa-bayan hoga