tir jaise kaman se nikla harf-e-haq tha zaban se nikla qaid-e-hasti se chhutne wala waqt ke imtihan se nikla tik na paya hawa ke jhonkon mein par shikasta udan se nikla sher aaya kachhaar se bahar aur shoala machan se nikla gham wo kanta ki aakhiri dam tak dil ko chhoda na jaan se nikla jab ajal jhankti phiri ghar ghar kaun zinda makan se nikla zulmaton ka safir tha kya tha saya ek saeban se nikla maslahat rokti rahi 'ejaz' tha jo dil mein zaban se nikla