aisa nahin ki un se mohabbat nahin mujhe ifsha-e-raaz-e-ishq ki jurat nahin mujhe jalwe hain un ke nau-ba-nau meri nigah mein ab un ko gham ye hai gham-e-furqat nahin mujhe rakhna hai un ke panw pe ja kar sar-e-niyaz ruk ja ajal kya itni bhi mohlat nahin mujhe shoridgi-e-ishq kahan le ke aa gai phulon se bhi jahan koi raghbat nahin mujhe hoti hai un se pahron tasawwur mein guftugu sochun kuchh aur itni bhi fursat nahin mujhe ruswa jahan mein kar diya us jazb-e-shauq ne maqsud warna ishq mein shohrat nahin mujhe is darja jhut sunta raha hun tamam umr sunne ki sach bhi ab koi aadat nahin mujhe ab un se haal-e-dil main bayan 'soz' kya karun apni zaban par bhi to qudrat nahin mujhe