tir mizhgan ke to abru ki kaman mange hai

tir mizhgan ke to abru ki kaman mange hai
dil wo aafat hai ki har aafat-e-jaan mange hai

kaisa mushkil mera gham tarz-e-bayan mange hai
lab pe ban jae jo naghma wo fughan mange hai

teri khatir unhen di khunki-e-shabnam warna
mera har sher to shoale ki zaban mange hai

zulm se dab nahin sakta mera azm-e-bebak
kahin faulad bhi patthar se aman mange hai

log bazar mein hairat se mujhe dekhe hain
sirf ek mera hi dil hai jo ziyan mange hai

ye hamin hain ki bahar-haal jiye jate hain
un ka mara hua pani na yahan mange hai

zehn-o-dil pusht-e-khamida hain yahan yaron ke
aur mera husn-e-sukhan fahm-e-jawan mange hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close