tujhe kya bataun main ham-nashin meri zindagi ka jo haal hai na masarraton ki koi khushi na ghamon ka koi malal hai ye ajab tarah ki hai zindagi na firaq hai na visal hai unhen chhod dun ye rawa nahin unhen pa sakun ye muhaal hai ye to sach hai naseh-e-mohtaram gham-e-dil ka chahiye kuchh bharam na ho mustahqiq-e-jafa bhi jab to wafa ki kis ko majal hai meri har nazar se unhen gila hai azab-e-jaan meri har ada karam-o-wafa ka ye hai sila ye mohabbaton ka maal hai meri baat baat mein aib hai mera har khulus fareb hai mera dil bhi kitna ajib hai mujhe phir bhi un ka khayal hai jahan ashk qatra-e-ab hon jahan nale wajh-e-itab hon wahan bar-bar sada-e-gham ye niyaz-e-gham ka kamal hai