tira-bakhti jo muqaddar ho jae phul sa jism bhi patthar ho jae ashk ruk jae to aankhen be-nur aur dhal jae to gauhar ho jae ruh sahra ki tarah pyasi hai chashm-e-be-ab samundar ho jae rauzan-e-shahr pe aankhen hain dhari ai khuda wa koi manzar ho jae ishq duniya bhi ajab duniya hai hijr jo kate payambar ho jae daulat-e-chashm-e-karam milte hi taj wala bhi gadagar ho jae ishq ki lai pe hain raqsan hum tum kaun kab jaane qalandar ho jae