ho gaya abru ki saffaki se shohra yar ka kaam kar jae sipahi nam ho sardar ka kucha-e-shah-rag se kya tera mahal nazdik hai dam gale mein aa ke atka hai tere bimar ka misl-e-isa un ki khidmat mein rasai ho gai padh gae kothe pe hum zina laga kirdar ka raat ko aankhon ke niche phir gai taswir-e-yar wah kya chamka sitara dida-e-bedar ka 'qadr' kya islah-e-'ghaalib' se meri shohrat hui wo masal hai badh kate nam ho talwar ka