tira-rangon ke hua haq mein ye tap karna dawa tirgi jati rahi chehre ki aur upchi safa kya sabab tere badan ke garm hone ka sajan aashiqon mein kaun jalta tha gale kis ke laga tu gale kis ke lage lekin kinhi be-rahm ne garm dekha hoega tere tain ankhiyan mila bul-hawas napak ki az-bas-ki bhaari hai nazar parda-e-ismat mein tu apne tain us sin chhupa ashk-e-garm o aah-e-sard aashiq ke tain waswas kar khub hai parhez jab ho mukhtalif aab-o-hawa garm-khui sin pasheman ho ke tuk lao araq tap ki haalat mein pasina aawna ho hai bhala dil mera tawiz ke jun le ke apne pas rakh to tufail-e-hazrat-e-ashiq ke ho tujh kun shifa tursh-goi chhod de aur talkh-goi tark kar aur khana jo ki ho khushka tari so kar ghiza 'bu-ali' hai nabz-dani mein butan ki 'abru' us ka is fan mein jo nuskha hai so hai ek kimiya