tirchhi nazar na ho taraf-e-dil to kya karun

tirchhi nazar na ho taraf-e-dil to kya karun
laila ke na-pasand ho mahmil to kya karun

thahre na khun-baha su-e-qatil to kya karun
haq ho jo khud-bakhud mera baatil to kya karun

ek rang ko jahan mein nahin koi manta
har rang mein rahun na main shamil to ya karun

piswaun be-gunah jo dil ko hina ke sath
pursan-e-haal ho koi aadil to kya karun

parwana hone ki bhi ijazat nahin mujhe
aalam-fareb hai teri mahfil to kya karun

jata gulu-burida bhi ud kar gulon ke pas
bazu gaya hai tod ke bismil to kya karun

laila ye kah ke jalwa dikhati hai qais ko
udne lage jo parda-e-mahmil to kya karun

khud chahta hun zabt karun dard-e-shauq main
dil hi mera na ho mutahammil to kya karun

munh chum lun ki gird phirun daud daud ke
ai dil jo hath rok le qatil to kya karun

dam rah-e-shauq-o-zauq mein leta nahin kahin
is par bhi tai na ho jo ye manzil to kya karun

kyun-kar na jabr dil pe karun apne ikhtiyar
rahat mein aa pade koi mushkil to kya karun

ek ek se puchhte hain wo aaina dekh kar
mashuq paun pyar ke qabil to kya karun

de dun main rah-e-ishq mein jaan us ke nam par
na-chaar hun na ho koi sail to kya karun

tanke jigar ke zakhm mein kyunkar lagane dun
gul tere bagh ka ho muqabil to kya karun

aane ko mana karte ho achchha na aaunga
ye to kaho na mane mera dil to kya karun

shayad mujhe jamal dikha de wo ai kalim
nazzare ka na hun mutahammil to kya karun

mar jaun dub kar 'sharaf' us par yar hai
kashti na ho koi lab-e-sahil to kya karun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close