mere mitane ki tadbir thi hijab na tha wagarna kaun se din husn be-naqab na tha agarche nazkash-e-esaghar-e-sharab na tha khumar-khane mein mujh sa koi kharab na tha khula tilism-e-tamanna to khul gaya ye bhi ki ek fareb-e-nazar tha tera shabab na tha khayal-e-dost teri jalwa-tabiyon ki qasam jo tu na tha meri duniya mein aaftab na tha tere firaq ki raaten thin is qadar maghmum ki dagh-e-khatir-e-mahzun tha mahtab na tha bura ho nala-e-paiham ka kuchh dinon pahle khamosh raat ke dil mein ye pech-o-tab na tha nigah milte hi ghash kha ke gir padin nazren thi ek barq-e-mushakkal tera shabab na tha azal ke din se hain hum mast-e-jalwa-e-saqi hamare samne kis roz aaftab na tha kuchh apne saz-e-nafas ki na qadr ki tu ne ki is rabab se behtar koi rabab na tha dil-e-kharab ka 'ehsan' ab khuda-hafiz kharab tha magar aisa kabhi kharab na tha