tirgi bala ki hai main koi sada lagaun ek shakhs sath tha us ka kuchh pata lagaun bahte jaane ke siwa bas mein kuchh nahin to kya dushmanon ke ghat hain naw kaise ja lagaun wo tamam rang hai us se baat kya karun wo tamam khwab hai us ko hath kya lagaun kuchh na ban pade to phir ek ek dost par baat baat shak karun tohmaten juda lagaun manzar aas-pas ka dubta dikhai de main kabhi jo dur ki baat ka pata lagaun aisi teri bazm kya aisa zabt-o-nazm kya mere ji mein aai hai aaj qahqaha lagaun ye hai kya jagah miyan kah rahe hain sab ki yan kuchh kashan kashan rahun dil zara zara lagaun