raushni saya-e-zulmat se aage na badhi zindagi shama ki ek raat se aage na badhi apni hasti ka bhi insan ko irfan na hua khak phir khak thi auqat se aage na badhi nam bad-nam hua sinf-e-ghazal ka lekin shairi rasm-o-riwayat se aage na badhi be-takalluf hui tajdid-e-mulaqat magar wo bhi ek tishna mulaqat se aage na badhi zulf-bar-dosh wo ek bar to aae the 'shakil' phir koi raat bhi us raat se aage na badhi