tirgi ho ki ho tanwir lahu mangegi har nae daur ki tamir lahu mangegi is se achchha hai ki khwabon ka bharosa na karo khwab dekhoge to tabir lahu mangegi dasht-e-wahshat mein to us waqt maza aaega jab mere panw ki zanjir lahu mangegi tum mere samne ab jang ki baaten na karo nyam se nikli to shamshir lahu mangegi main ye hi sochta rahta hun shab-o-roz 'akhtar' kab talak wadi-e-kashmir lahu mangegi