tere didar ki khatir mah-o-akhtar jage ye parinde bhi tere hijr mein aksar jage kahin jugnu kahin tare kahin manzar jage phir satane ke liye mujh ko sitamgar jage apni aankhon mein basa kar gham-e-hijran ki kasak kash tu bhi kabhi mere liye shab bhar jage aag aur khun ke dariya ko rawani dene khugar-e-zulm jafa-karon ke lashkar jage khushbuen jhum uthin nur ki barsat hui tere aane se bahaaron ke muqaddar jage din ki dahliz ho ya raat ka aangan lekin dil ki dhadkan hai ki har-waqt barabar jage kuchh tumhin par nahin 'akhtar' shab-e-furqat ka asar hum bhi aankhon mein liye ashkon ke kankar jage