tirgi ki apni zid hai jugnuon ki apni zid thokaron ki apni zid hai hauslon ki apni zid kaun sa qissa sunaun aap ko mushkil ye hai aansuon ki apni zid hai qahqahon ki apni zid git mere chum aaenge tumhein ban kar saba sarhadon ki apni zid hai hasraton ki apni zid raston ne khub samjhaya ulajhna mat magar rahzanon ki apni zid hai rahbaron ki apni zid hae tapka hai lahu phir aaj ke akhbar se chaquon ki apni zid hai pasliyon ki apni zid dhadkanon ki baat manun ya ki aaine ki ab? aarzu ki apni zid hai jhurriyon ki apni zid