tis din ke liye tark-e-mai-o-saqi kar lun waiz-e-sada ko rozon mein to raazi kar lun phenk dene ki koi chiz nahin fazl-o-kamal warna hasid teri khatir se main ye bhi kar lun ai nakirain qayamat hi pe rakkho pursish main zara umr-e-guzishta ki talafi kar lun kuchh to ho chaara-e-gham baat to yak ho jae tum khafa ho to ajal hi ko main raazi kar lun aur phir kis ko pasand aaega virana-e-dil gham se mana bhi ki is ghar ko main khali kar lun jaur-e-gardun se jo marne ki bhi fursat mil jae imtihan-e-dam-e-jaan-parwar-e-isi kar lun dil hi milta nahin siflon se wagarna 'shibli' khub guzre falak-e-dun se jo yari kar lun