jise aana hai milne ke liye wo aa hi jata hai na aana ho to wadon se faqat bahla hi jata hai jo aa kar khwab mein bhi zehn-o-dil par chha hi jata hai wo zulf-e-mushkbu se qasr-e-dil mahka hi jata hai kabhi wahshat-zada mahaul mein apne hi sae se hujum-e-kashmakash mein aadmi ghabra hi jata hai har ek chehre pe aae jab nazar ek dusra chehra fareb-e-rang-o-bu insan aksar kha hi jata hai jise apna samajhta tha parayon se bhi hai bad-tar meri auqat aa kar wo mujhe batla hi jata hai parae aur apne dafn kar ke laut aate hain jo tanha aaya hai duniya se wo tanha hi jata hai jalane aur bujhane mein mahaarat hai jise hasil ulajh jati hai jo gutthi use suljha hi jata hai junun-e-intiha-e-shauq khizr-e-rah ho jis ka wo apni manzil-e-maqsud 'barqi' pa hi jata hai