tishna-kaami mein riayat nahin karne wale hum amanat mein khayanat nahin karne nahin karne wale raushni hum pe inayat nahin karne wali hum charaghon se shikayat nahin karne wale hum se ye kar-e-musafat nahin hone wala zindagi teri qayaadat nahin karne wale hum se ayyam ki gardish nahin dekhi jati khair hum is ki wazahat nahin karne wale hasb-e-maqdur hamein khak udani hai so hum jism-e-khasta ki marammat nahin karne wale phir wahi khwab wahi zid nahin 'aqib-sabir' hum usulon se baghawat nahin karne wale