ye ishq hota hai bin sikhae ki us ka koi nisab kaisa har ek hai is rah ka musafir faqir kaisa nawab kaisa usul hai ye dayar-e-dil ka ki aane wala gaya na wapas har ek sitam muskura ke sahna sawal kaisa jawab kaisa sukun-e-dil ka maqam puchho wafa ki manzil ke rahiyon se kathin hai har din masafaton ka ye ratjagon ka azab kaisa hua hai charcha zamane bhar mein tumhaari be-nam chahaton ka to mujh se kyon tum chhupa rahe ho nigahon mein hai ye khwab kaisa wafa ki rahon pe chal pade ho to dekho dil ko sambhaale rakhna qadam qadam dard-e-na-rasai yahan thakan ka hisab kaisa