tishna-kaamon ko yahan kaun subu deta hai gul ko bhi hath lagao to lahu deta hai neshtar aur sahi kar-e-digar aur sahi dil-e-sad-chaak agar izn-e-rafu deta hai tab-e-fariyaad bhi de lazzat-e-bedad bhi de dene wale jo mujhe soz-e-gulu deta hai hum to barbaad hue barg-e-khizan ki surat shakh-e-gul kaun tujhe zauq-e-numu deta hai munsifo hath se ab dashna-o-khanjar rakh do kya bura hai agar insaf adu deta hai ai khudawand mere sher ki qimat kya hai ek roti ka niwala jise tu deta hai