tishna-lab koi jo sar-gashta sarabon mein raha basta-e-wahm-o-guman bhagta khwabon mein raha dil ki aawara-mizaji ka gila kya kije khana-barbaad raha khana-kharabon mein raha ek wo harf-e-junun naqsh-gar-e-lauh-o-qalam ek wo bab-e-khirad band kitabon mein raha be-hisi wo hai ki is daur mein jine ka maza na gunahon mein raha aur na sawabon mein raha jama karta raha ye sud-o-ziyan ke aadad umr bhar zehn-e-bashar uljha hisabon mein raha ab koi aur hi shai wajh-e-nashat-e-dil ho nashsha-o-kaif-e-sharar ab na sharabon mein raha