tishnagi apni bujhane ke liye jab gae hain

tishnagi apni bujhane ke liye jab gae hain
dasht bechaare samundar ke tale dab gae hain

kuch karne ki ghadi hai magar ai ham-safro
hum udhar ja nahin sakte jidhar sab gae hain

ghair shaista-e-adab-e-mohabbat na sahi
hum tere hijr ke aazar mein mar kab gae hain

ab koi aks hai salim na kisi ka chehra
aaina-khane mein kya dekhne sahab gae hain

koi rasta na mila ghar se nikal kar hum ko
hum usi ku-e-malamat ko gae jab gae hain

teri auqat hi kya 'midhat-ul-akhtar' sun le
shahr ke shahr zaminon ke tale dab gae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close