tishnagi aur badhaenge chale jaenge aap aae bhi to aaenge chale jaenge muhtamim hum ne sar-e-bazm kahan rahna hai jab wo uth kar chale jaenge chale jaenge waqt kam hai ki gham-e-zist pas-e-pusht kiye jashn gham-khwar manaenge chale jaenge jab bhi hum khana-ba-doshon se tu uktaega zindagi sar pe uthaenge chale jaenge log dhundenge nikal kar hamein un galiyon mein sirf aawaz lagaenge chale jaenge hum se diwanon ki aadat hai milenge jab bhi mil ke roenge rulaenge chale jaenge ye teri kham-khayali hai ki hum mahfil mein munh uthae chale aaenge chale jaenge zindagi bazm-e-sukhan hai jise sunte sunte apne hisse ka sunaenge chale jaenge ye to sikha hi nahin aap ki sohbat se ki aap jab charaghon ko bujhaenge chale jaenge sar-phire aise hain 'shahid' ki ghurur-e-hasti tum ko mitti mein milaenge chale jaenge