unhen bhi ek nazar dekh dur jate hue jo ro rahe hain muqaddar ke git gate hue khizan mein kaghazi gul se bahaar late hue udas logon ko dekha hai muskuraate hue zara si der pas-e-parda mujh ko rone de main thak gaya teri mahfil mein muskuraate hue jo sun ke dekha to jaana ki ro rahi hai bahut ye sans aaj bhi shahnaiyan bajate hue qarib aane ka kahta hai dur ja ke mujhe wo dard bantne lagta hai dil dukhate hue saron pe dhup to pairon mein aable pahne hamari umr kati hai bharam bachate hue mujhe laga hai use bhi meri zarurat hai wo aaj roya hai mujh ko gale lagate hue thahar gaya tha yahan mausam-e-khizan 'shahid' ki sar jhade hain chaman mein bahaar late hue