tishnagi dil ki bujhana to khabar kar dena ashk aankhon mein chhupana to khabar kar dena hum ne kuchh git likhe hain jo sunana hain tumhein tum kabhi bazm sajaana to khabar kar dena hadse rah-e-mohabbat ka muqaddar thahre jab hamein dil se bhulana to khabar kar dena jin kitabon mein chhupae hain mere khat tum ne un kitabon ko jalana to khabar kar dena aaj begana samajhte ho to samjho lekin jab satae ye zamana to khabar kar dena main zarur aaunga 'mansur' tumhaari khatir tum jo maqtal ko sajaana to khabar kar dena