titli udas bhanwra jawan ab nahin raha gulshan mein pahle jaisa saman ab nahin raha parwane jaan lutate the jis par tamam shab hai bujh chuki wo shama dhuan ab nahin raha rahta tha teri yaad mein aankhon se jo rawan na jaane kyon wo dariya rawan ab nahin raha hai silsila azal se yahi is jahan ka tha kal yahan jo aaj yahan ab nahin raha rahti thi jis ki khoj mein tu 'koki-gul' kabhi shayad wo is gali mein makan ab nahin raha