to aaKHir saz-e-hasti kyun tarab-ahang-e-mahfil tha

to aakhir saz-e-hasti kyun tarab-ahang-e-mahfil tha
nashat-ain kaif-e-be-dili yarab agar dil tha

ba-faiz-e-be-khudi aise maqam-e-shauq mein hum the
jahan kar-e-husul-e-muddaa tahsil-e-hasil tha

maqam-e-hu suwaida-e-mujarrad aalam-e-hairat
meri gum-gashtagi se ab ye naqsha hai jahan dil tha

hamein kam-bakht ehsas-e-khudi us dar pe le baitha
hum uth jate to wo parda bhi uth jata jo hail tha

kahan zauq-e-tan-asani mein aasani mayassar thi
talash-e-rahat-e-manzil mein dil gum-karda manzil tha

shikayat sun ke aadab-e-mohabbat kah diya us ne
mujhe kah sun ke chup hona pada aakhir ki qail tha

zaban-e-'dagh' o shan-e-'zauq' kuchh is mein nahin 'natiq'
are ye kya hai tu to ham-nawa-e-'nuh' o 'sail' tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close