sham-e-kushta ki tarah main teri mahfil se utha aah kaisi wo dhuan tha jo bujhe dil se utha khel hai hasti-e-mauhum magar hai dilchasp jo yahan baith gaya aa ke wo mushkil se utha tu ne ye kis ko uthaya hai ki dil baith gae kaun baitha hai ki fitna teri mahfil se utha kaun gharqab hua hai ki udata hua khak aaj be-tab bagula lab-e-sahil se utha ham-safar hai koi uftad to pesh aane ko ki qadam aaj ulajhta hua manzil se utha ji churane ki nahin shart dil-e-zar yahan ranj uthane hi ki thahri hai to phir dil se utha ahl-e-haq bhi yahin mil jaenge uth to 'natiq' haq ki aawaz to but-khana-e-baatil se utha