to kya rabta phir khuda ka bashar se talluq nahin jab dua ka asar se jo puchha hawa se kyun mahki hui ho kaha us ne aai hun ho kar udhar se rah-e-ishq dushwar hai kis qadar ye kabhi puchh dekho to mujh dar-ba-dar se yun mahw-e-safar hun teri justuju mein nazar meri aage hai shams-o-qamar se raha be-khabar ahl-e-ghurbat ke gham se so khud gir raha hun main apni nazar se ki man khwab mein matha sahla rahi thi darun kya main ab bad-dua bad-nazar se