har sans jaise zahr ka ek jam ho gai ab zindagi bhi morid-e-ilzam ho gai gum-sum hai chand aur sitare bhi hain khamosh kya tere dard-e-dil ki khabar aam ho gai gul par hai ikhtiyar na khushbu ka e'tibar gulshan bhi kya bahaar bhi nilam ho gai rah-e-wafa mein shauq ke jugnu chamak uthe manzil se dur jab bhi kahin sham ho gai pahchanta nahin hai koi tere shahr mein kya aabru wafaon ki badnam ho gai dil ki zamin pe zakhmon ki faslen ugaiye barsat aansuon ki sar-e-sham ho gai