to phir kya rah-e-hasti mein koi nazuk maqam aaya zaban par aaj ye be-sakhta kyon un ka nam aaya kahan tak ehtiyat-e-sajda hoti rah-e-ulfat mein kahin tur-e-nazar aaya kahin dil ka maqam aaya juda maqsad juda mashrab juda rahen juda manzil na duniya mere kaam aai na main duniya ke kaam aaya karishma-sazi-e-fikr-o-nazar ka puchhna kya hai tulu-e-subh se pahle mujhe paigham-e-sham aaya jahan par phul khilte the wahan kante hue paida ye kis ke dast-e-qudrat mein gulistan ka nizam aaya khuda malum wo hain ya hai nairangi tasawwur ki nazar ke samne ek paikar-e-husn-e-tamam aaya hayat-o-maut ko ye kashmakash dekhi nahin jati ajal is samt aai us taraf un ka payam aaya 'khalish' fitrat ki gul-afshaniyan mere hi dam tak thin na phir koi nawed aai na phir koi payam aaya