thak gae hum rasan-o-dar tak aate aate

thak gae hum rasan-o-dar tak aate aate
mit gae ishq ke mear tak aate aate

rah ke pech muqaddar ki burai gham-e-zist
mar na jaenge tere pyar tak aate aate

aur bhi chand maqamat-e-talab guzre hain
dar se manzil-e-dildar tak aate aate

wo badhe hi the meri samt ki phir ruk se gae
rah gaya daman-e-gul khar tak aate aate

hae duniya ka chalan hae zamane ki rawish
gham mile kitne gham-e-yar tak aate aate

wo mazamin jo insan ka lahu garma den
ruk gae hain mere ashaar tak aate aate

kitne hathon ne 'khalish' khoi hai taqat apni
waqt ke gesu-e-khamdar tak aate aate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close