to wahan ja ke bachega dil-e-hoshyar ghalat

to wahan ja ke bachega dil-e-hoshyar ghalat
un ki nazron ka khata hota hai kab war ghalat

ye to huron ka talabgar hai din-dar kahan
bandh gai shaikh ke sar bhule se dastar ghalat

do hi fiqron mein wo aghyar ke ban baithe hain
nama-bar un ko batata hai jo hoshyar ghalat

thokaren kha ke hi insan bana karta hai
zindagi ishq mein ho jaegi yun khwar ghalat

us ke didar ki ummid dobara kaisi
kahin hoti hai tajalli ko bhi takrar ghalat

wo mujhe puchhte paigham-rasa jhut na bol
ye bayan tera sarasar hai mere yar ghalat

ishq ka josh sahi hausla ye hum mein kahan
un se kuchh arz karenge sar-e-bazar ghalat

'shad' hai nam wo dil shad raha karta hai
wo bhala roega ja kar pas-e-diwar ghalat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close