ek qadam tegh pe aur ek sharar par rakkha meri wahshat ne mujhe raqs-e-digar par rakkha mere malik ne tujhe aaina-dari de kar nigaran tujh ko mere husn-e-nazar par rakkha la-talluq nazar aata tha ba-zahir lekin shahr ko us ne meri khair-khabar par rakkha zindagi tu ne qadam mod diye aur taraf aur andar se mujhe aur safar par rakkha ahl-e-wahshat ko magar kaun batata ja kar ho gaya naf-e-ghazalin koi ghar par rakkha konplen phut padin dast-e-dua se mere dam-e-amin jo mein dida-e-tar par rakkha khatm hoti hi nahin girya-o-zari un ki mir ne hath to har lafz ke sar par rakkha main ne is dar se use tod liya hai 'tabish' sukh jae na kahin shakh-e-shajar par rakkha