to wo nukta hai jise dhyan mein rakkha gaya hai ghair mumkin sahi imkan mein rakkha gaya hai hairaten apni abhi khatm na hone dena raaz-e-poshida ek elan mein rakkha gaya hai sab shanasa hain tere phir bhi to tera chehra gum-shuda logon ki pahchan mein rakkha gaya hai tai shuda hai yahan anjam azal se sab ka faisla waqt ke juzdan mein rakkha gaya hai is qadar bojh ki shal ho gae bazu 'nusrat' jaane kya kya mere saman mein rakkha gaya hai