tod lenge har ek shai se rishta tod dene ki naubat to aae hum qayamat ke khud muntazir hain par kisi din qayamat to aae hum bhi suqraat hain ahd-e-nau ke tishna-lab hi na mar jaen yaro zahr ho ya mai-e-atishin ho koi jam-e-shahadat to aae ek tahzib hai dosti ki ek meyar hai dushmani ka doston ne murawwat na sikhi dushmanon ko adawat to aae rind raste mein aankhen bichhaen jo kahe bin sune man jaen naseh-e-nek-tinat kisi shab su-e-ku-e-malamat to aae ilm o tahzib tarikh o mantiq log sochenge in masalon par zindagi ke mashaqqat-kade mein koi ahd-e-faraghat to aae kanp utthen qasr-e-shahi ke gumbad thartharae zamin mabadon ki kucha-gardon ki wahshat to jage gham-zadon ko baghawat to aae